Friday, August 14, 2009

JASHN-E-AZAADI PAR

Kaisi azaadiaan manayein ham
Kaise ghee ke diye jalaein ham
Jazba-e-jaan-faroshi kho baithe
Wo ganwa aaye bhaavnaein ham

Teri qurbaaniaan ganwa baithe
Ham Bhagat Singh talak bhula baithe
Ham siyaasat ke haath bik gaye maa
Tujh ko kis munh ser ye bataayein ham

Apne khatir hi daud-bhaag rahi
Ab kahaan seeno mein wo aag rahi
Aankh nam hoti hai magar ab bhi
Jab taraane wo gungunaaein ham

Ham hain bahu-rashtriya nishaano pe
Fir ghulaami ke hain muhaano pe
Ab to uthna padega ae yaaro
Kaise munh dhaamp ke so jaaein ham

Doodh ki laaj kyun na rakhne chalein,
Aaj fir se vasanti pehne chalein,
Chandrashekhar Subhash banne chalein,
Kyun na fir khud ko aazmaaein ham !

-SATISH BEDAAG

1 comment:

  1. RESPECTED SIR U R A POET OF FEELINGS. UR POEMS R FULL OF TRUE FEELINGS. ES POEM MAIN AAP NE AAJADI KE NAAM PE HONE WALI MAN MANIO PE COMMENTS KIE HAI. YE AAP KE DESH BHAGAT HONE KA PROOF HAI.

    ReplyDelete